Raftagan Mein Jahan Ke Hum Bhi Hain

raftagan mein jahan ke hum bhi hain

sath us karwan ke hum bhi hain

shama hi sar na de gai barbaad

kushta apni zaban ke hum bhi hain

hum ko majnun ko ishq mein mat bujh

nang us KHandan ke hum bhi hain

jis chaman-zar ka hai tu gul-e-tar

bulbul is gulsitan ke hum bhi hain

nahin majnun se dil qawi lekin

yar us na-tawan ke hum bhi hain

bosa mat de kisu ke dar pe nasim

KHak us aastan ke hum bhi hain

go shab us dar se dur pahron phiren

pas to pasban ke hum bhi hain

wajh-e-beganagi nahin malum

tum jahan ke ho wan ke hum bhi hain

mar gae mar gae nahin to nahin

KHak se munh ko Dhanke hum bhi hain

apna shewa nahin kaji yun to

yar ji TeDhe banke hum bhi hain

is sire ki hai parsai 'mir'

mo'taqid us jawan ke hum bhi hain

(524) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raftagan Mein Jahan Ke Hum Bhi Hain In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Raftagan Mein Jahan Ke Hum Bhi Hain is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Raftagan Mein Jahan Ke Hum Bhi Hain for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Raftagan Mein Jahan Ke Hum Bhi Hain in PDF.