Raftar-o-taur-o-tarz-o-rawish Ka Ye Dhab Hai Kya

raftar-o-taur-o-tarz-o-rawish ka ye Dhab hai kya

pahle suluk aise hi tere the ab hai kya

hum dil-zada na rakhte the tum se ye chashm-dasht

karte ho qahr lutf ki jaga ghazab hai kya

izzat bhi baad zillat bisyar chheD hai

majlis mein jab KHafif kiya phir adab hai kya

aae hum aap mein to na pahchane phir gae

us rah-e-sab ishq mein yaro tab hai kya

hairan hain us dahan ke azizan-e-KHurda-bin

ye bhi maqam hae tammul talab hai kya

aankhen jo howen teri to tu ain kar rakhe

aalam tamam gar wo nahin to ye sab hai kya

us aaftab bin nahin kuchh sujhta hamein

gar ye hi apne din hain to tarik shab hai kya

tum ne hamesha jaur-o-sitam be-sabab kiye

apna hi zarf tha jo na puchha sabab hai kya

kyunkar tumhaari baat kare koi eatibar

zahir mein kya kaho ho suKHan zer-e-lab hai kya

us mah baghair 'mir' ka marna ajab hua

har-chand marg-e-ashiq miskin ajab hai kya

(438) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raftar-o-taur-o-tarz-o-rawish Ka Ye Dhab Hai Kya In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Raftar-o-taur-o-tarz-o-rawish Ka Ye Dhab Hai Kya is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Raftar-o-taur-o-tarz-o-rawish Ka Ye Dhab Hai Kya for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Raftar-o-taur-o-tarz-o-rawish Ka Ye Dhab Hai Kya in PDF.