Rahi Na-gufta Mere Dil Mein Dastan Meri

rahi na-gufta mere dil mein dastan meri

na us dayar mein samjha koi zaban meri

ba-rang-e-saut-e-jaras tujh se dur hun tanha

KHabar nahin hai tujhe aah karwan meri

tere na aaj ke aane mein subh ke mujh pas

hazar jae gai tab-e-bad-guman meri

wo naqsh-e-pai hun main miT gaya ho jo rah mein

na kuchh KHabar hai na sudh haigi rah-rawan meri

shab us ke kuche mein jata hun is tawaqqoa par

ki ek dost hai wan KHwab pasban meri

usi se dur raha asal muddaa jo tha

gai ye umr-e-aziz aah raegan meri

tere firaq mein jaise KHayal muflis ka

gai hai fikr-e-pareshan kahan kahan meri

nahin hai tab-o-tawan ki judai ka andoh

ki na-tawani bahut hai mizaj-dan meri

raha main dar-e-pas-e-diwar-e-bagh muddat lek

gai gulon ke na kanon talak fughan meri

hua hun girya-e-KHunin ka jab se daman-gir

na aastin hui pak dostan meri

diya dikhai mujhe to isi ka jalwa 'mir'

paDi jahan mein ja kar nazar jahan meri

(600) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahi Na-gufta Mere Dil Mein Dastan Meri In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Rahi Na-gufta Mere Dil Mein Dastan Meri is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Rahi Na-gufta Mere Dil Mein Dastan Meri for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Rahi Na-gufta Mere Dil Mein Dastan Meri in PDF.