Sahr-e-gah-e-id Mein Daur-e-subu Tha

sahr-e-gah-e-id mein daur-e-subu tha

par apne jam mein tujh bin lahu tha

ghalat tha aap se ghafil guzarna

na samjhe hum ki is qalib mein tu tha

chaman ki waza ne hum ko kya dagh

ki har ghuncha-dil par aarzu tha

gulo-aina kya KHurshid-o-mah kya

jidhar dekha tidhar tera hi ru tha

karoge yaad baaten to kahoge

ki koi rafta-e-bisyar-go tha

jahan par hai fasane se hamare

dimagh-e-ishq hum ko bhi kabhu tha

magar diwana tha gul bhi kaso ka

ki pairahan mein so jaga rafu tha

kahin kya baal tere khul gae the

ki jhonka baw ka kuchh mushkbu tha

na dekha 'mir' aawara ko lekin

ghubar ek na-tawan sa ku-ba-ku tha

(406) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahr-e-gah-e-id Mein Daur-e-subu Tha In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Sahr-e-gah-e-id Mein Daur-e-subu Tha is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Sahr-e-gah-e-id Mein Daur-e-subu Tha for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Sahr-e-gah-e-id Mein Daur-e-subu Tha in PDF.