Sair Kar Andalib Ka Ahwal

sair kar andalib ka ahwal

hain pareshan chaman mein kuchh par-o-baal

tab-e-gham to gai tabib wale

phir na aaya kabhu mizaj-e-bahaal

sabza-nau-rasta rahguzar ka hun

sar uThaya ki ho gaya pamal

kyun na dekhun chaman ko hasrat se

aashiyan tha mera bhi yan par-sal

sard-mehri ki bas-ki gul-ru ne

oDhi abr-e-bahaar ne bhi shaal

hijr ki shab ko yan tain taDpa

ki hua subh hote mera visal

hum to sah guzre kaj-rawi teri

na nibhe par ai falak ye chaal

dida-e-tar pe shab rakha tha 'mir'

lukka-e-abr hai mera rumal

(401) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sair Kar Andalib Ka Ahwal In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Sair Kar Andalib Ka Ahwal is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Sair Kar Andalib Ka Ahwal for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Sair Kar Andalib Ka Ahwal in PDF.