Shash-jihat Se IsMein Zalim Bu-e-KHun Ki Rah Hai

shash-jihat se is mein zalim bu-e-KHun ki rah hai

tera kucha hum se tu kah kis ki bismil-gah hai

ek nibhne ka nahin mizhgan talak bojhal hain sab

karwan laKHt-e-dil-e-har-ashk ke hamrah hai

hum jawanon ko na chhoDa us se sab pakDe gae

ye do-sala duKHtar-e-raz kis qadar shattah hai

pa-barahna KHak sar mein mu pareshan sina chaak

haal mera dekhne aa tere hi dil-KHwah hai

is junun par 'mir' koi bhi phire hai shahr mein

jada-e-sahra se kar sazish jo tujh se rah hai

(399) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shash-jihat Se IsMein Zalim Bu-e-KHun Ki Rah Hai In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Shash-jihat Se IsMein Zalim Bu-e-KHun Ki Rah Hai is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Shash-jihat Se IsMein Zalim Bu-e-KHun Ki Rah Hai for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Shash-jihat Se IsMein Zalim Bu-e-KHun Ki Rah Hai in PDF.