Shikwa Karun Main Kab Tak Us Apne Mehrban Ka

shikwa karun main kab tak us apne mehrban ka

al-qissa rafta rafta dushman hua hai jaan ka

girye pe rang aaya qaid-e-qafas se shayad

KHun ho gaya jigar mein ab dagh gulsitan ka

le jhaDu Tokra hi aata hai subah hote

jarub-kash magar hai KHurshid us ke han ka

di aag rang-e-gul ne wan ai saba chaman ko

yan hum jale qafas mein sun haal aashiyan ka

har subh mere sar par ek hadisa naya hai

paiwand ho zamin ka shewa is aasman ka

in said-afganon ka kya ho shikar koi

hota nahin hai aaKHir kaam un ke imtihan ka

tab to mujhe kiya tha tiron se said apna

ab karte hain nishana har mere ustuKHwan ka

fitrak jis ka aksar lohu mein tar rahe hai

wo qasd kab kare hai is said-e-na-tawan ka

kam-fursati jahan ke majmea ki kuchh na puchho

ahwal kya kahun main is majlis-e-rawan ka

sajda karen hain sun kar aubash sare us ko

sayyad pisar wo pyara haiga imam banka

na-haq shanasi hai ye zahid na kar barabar

taat se sau baras ki sajda us aastan ka

hain dasht ab ye jite baste the shahr sare

virana-e-kohan hai mamura is jahan ka

jis din ki us ke munh se burqa uThega suniyo

us roz se jahan mein KHurshid phir na jhanka

na-haq ye zulm karna insaf kah piyare

hai kaun si jagah ka kis shahr ka kahan ka

saudai ho to rakkhe bazar-e-ishq mein pa

sar muft bechte hain ye kuchh chalan hai wan ka

sau gali ek chashmak itna suluk to hai

aubash KHana jang us KHush-chashm bad-zaban ka

ya roe ya rulaya apni to yun hi guzri

kya zikr ham-safiran yaran-e-shadman ka

qaid-e-qafas mein hain to KHidmat hai nalagi ki

gulshan mein the to hum ko mansab tha rauza-KHwan ka

puchho to 'mir' se kya koi nazar paDa hai

chehra utar raha hai kuchh aaj us jawan ka

(392) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shikwa Karun Main Kab Tak Us Apne Mehrban Ka In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Shikwa Karun Main Kab Tak Us Apne Mehrban Ka is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Shikwa Karun Main Kab Tak Us Apne Mehrban Ka for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Shikwa Karun Main Kab Tak Us Apne Mehrban Ka in PDF.