Sina Hai Chaak-e-jigar Para Hai Dil Sab KHun Hai

sina hai chaak-e-jigar para hai dil sab KHun hai

tis pe ye jaan-ba-lab aamada bhi mahzun hai

us se aankhon ko mila ji mein rahe kyunkar tab

chashm-e-eajaz-e-mizha sahar-e-nigah-e-afsun hai

aah ye rasm-e-wafa howe bar-uftad kahin

is sitam par bhi mera dil usi ka mamnun hai

kabhu is dasht se uThta hai jo ek abr tanik

gard-e-namnak pareshan shuda-e-majnun hai

kyunke be-baada lab-e-ju pe chaman mein rahiye

aks-e-gul aab mein taklif-e-mai-e-gul-gun hai

par bhi ho na kaleje ke to phir kya bulbul

misra-nala jigar-kawi hai go mauzun hai

shahr kitna jo koi un mein sarishk-e-afshan ho

ru-kash-e-girya-e-gham hausla-e-hamun hai

KHun har yak raqam shauq se Tapke tha wale

wo na samjha ki mere name ka kya mazmun hai

'mir' ki baat pe har waqt ye jhunjhlaya na kar

saDi hai KHabti hai wo shefta hai majnun hai

(393) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sina Hai Chaak-e-jigar Para Hai Dil Sab KHun Hai In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Sina Hai Chaak-e-jigar Para Hai Dil Sab KHun Hai is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Sina Hai Chaak-e-jigar Para Hai Dil Sab KHun Hai for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Sina Hai Chaak-e-jigar Para Hai Dil Sab KHun Hai in PDF.