TaDapna Bhi Dekha Na Bismil Ka Apne

taDapna bhi dekha na bismil ka apne

main kushta hun andaz-e-qatil ka apne

na puchho ki ahwal na-gufta-bah hai

musibat ke mare hue dil ka apne

dil-e-zaKHm-KHurda ke aur ek lagai

mudawa kya KHub ghayal ka apne

jo KHosha tha sad KHirman-e-barq tha yan

jalaya hua hun main hasil ka apne

Tak abru ko meri taraf kije mail

kabhu dil bhi rakh lije mail ka apne

hua daftar-e-qais aaKHir abhi yan

suKHan hai junun ke awael ka apne

banaen rakhen main ne aalam mein kya kya

hun banda KHayalat baatil ka apne

maqam-e-fana waqiye mein jo dekha

asar bhi na tha gor manzil ka apne

(426) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TaDapna Bhi Dekha Na Bismil Ka Apne In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. TaDapna Bhi Dekha Na Bismil Ka Apne is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem TaDapna Bhi Dekha Na Bismil Ka Apne for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download TaDapna Bhi Dekha Na Bismil Ka Apne in PDF.