Talwar Gharq-e-KHun Hai Aankhen Gulabiyan Hain

talwar gharq-e-KHun hai aankhen gulabiyan hain

dekhen to teri kab tak ye bad-sharabiyan hain

jab le naqab munh par tab did kar ki kya kya

dar-parda shoKHiyan hain phir be-hijabiyan hain

chahe hai aaj hun main haft-asman ke upar

dil ke mizaj mein bhi kitni shitabiyan hain

ji bikhre dil Dhahe hai sar bhi gira paDe hai

KHana-KHarab tujh bin kya kya KHarabiyan hain

mehman 'mir' mat ho KHwan-e-falak pe hargiz

KHali ye mehr-o-mah ki donon rikabiyan hain

(439) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Talwar Gharq-e-KHun Hai Aankhen Gulabiyan Hain In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Talwar Gharq-e-KHun Hai Aankhen Gulabiyan Hain is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Talwar Gharq-e-KHun Hai Aankhen Gulabiyan Hain for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Talwar Gharq-e-KHun Hai Aankhen Gulabiyan Hain in PDF.