Tang Aae Hain Dil Us Ji Se UTha BaiThenge

tang aae hain dil us ji se uTha baiThenge

bhukon marte hain kuchh ab yar bhi kha baiThenge

ab ke bigDegi agar un se to is shahr se ja

kaso virane mein takiya hi bana baiThenge

marka garm to Tak hone do KHun-rezi ka

pahle talwar ke niche hamin ja baiThenge

hoga aisa bhi koi rose ki majlis se kabhu

hum to ek-adh ghaDi uTh ke juda baiThenge

ja na izhaar-e-mohabbat pe hawasnakon ki

waqt ke waqt ye sab munh ko chhupa baiThenge

dekhen wo ghairat-e-KHurshid kahan jata hai

ab sar-e-rah dam-e-subh se aa baiThenge

bhiD Talti hi nahin aage se us zalim ke

gardanen yar kisi rose kaTa baiThenge

kab talak galiyon mein saudai se phirte rahiye

dil ko us zulf-e-musalsal se laga baiThenge

shoala-afshan agar aisi hi rahi aah to 'mir'

ghar ko hum apne kaso raat jala baiThenge

(417) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tang Aae Hain Dil Us Ji Se UTha BaiThenge In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Tang Aae Hain Dil Us Ji Se UTha BaiThenge is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Tang Aae Hain Dil Us Ji Se UTha BaiThenge for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Tang Aae Hain Dil Us Ji Se UTha BaiThenge in PDF.