Taqat Nahin Hai Dil Maine Ji Baja Raha Hai

taqat nahin hai dil main ne ji baja raha hai

kya naz kar rahe ho ab hum mein kya raha hai

jeb aur aastin se rone ka kaam guzra

sara nichoD ab to daman par aa raha hai

ab chait gar nahin kuchh taza hua hun bekal

aaya hun jab ba-KHud mein ji is mein ja raha hai

kahe ka pas ab to ruswai dur pahunchi

raaz-e-mohabbat apna kis se chhapa raha hai

gard-e-rah us ki yarab kis aur se uThegi

sau sau ghazal har-su aankhen laga raha hai

bande to trahdar whin tarah kash tumhaare

phir chahte ho kya tum ab ek KHuda raha hai

dekh us dahan ko har-dam ai aarsi ki yun hi

KHubi ka dar kaso ke munh par bhi wa raha hai

we lutf ki nigahen pahle fareb hain sab

kis se wo be-murawwat phir aashna raha hai

itna KHizan kare hai kab zard rang par yan

tu bhi kaso nigah se ai gul juda raha hai

rahte hain dagh aksar nan-o-namak ki KHatir

jine ka us samayn mein ab kya maza raha hai

ab chahta nahin hai bosa jo tere lab se

jine se 'mir' shayad kuchh dil uTha raha hai

(384) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taqat Nahin Hai Dil Maine Ji Baja Raha Hai In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Taqat Nahin Hai Dil Maine Ji Baja Raha Hai is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Taqat Nahin Hai Dil Maine Ji Baja Raha Hai for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Taqat Nahin Hai Dil Maine Ji Baja Raha Hai in PDF.