UlTi Ho Gain Sab Tadbiren Kuchh Na Dawa Ne Kaam Kiya

ulTi ho gain sab tadbiren kuchh na dawa ne kaam kiya

dekha is bimari-e-dil ne aaKHir kaam tamam kiya

ahd-e-jawani ro ro kaTa piri mein lin aankhen mund

yani raat bahut the jage subh hui aaram kiya

harf nahin jaan-baKHshi mein us ki KHubi apni qismat ki

hum se jo pahle kah bheja so marne ka paigham kiya

nahaq hum majburon par ye tohmat hai muKHtari ki

chahte hain so aap karen hain hum ko abas badnam kiya

sare rind aubash jahan ke tujh se sujud mein rahte hain

banke TeDhe tirchhe tikhe sab ka tujh ko imam kiya

sarzad hum se be-adabi to wahshat mein bhi kam hi hui

koson us ki or gae par sajda har har gam kiya

kis ka kaba kaisa qibla kaun haram hai kya ehram

kuche ke us ke bashindon ne sab ko yahin se salam kiya

shaiKH jo hai masjid mein nanga raat ko tha mai-KHane mein

jubba KHirqa kurta Topi masti mein inam kiya

kash ab burqa munh se uTha de warna phir kya hasil hai

aankh munde par un ne go didar ko apne aam kiya

yan ke sapid o siyah mein hum ko daKHl jo hai so itna hai

raat ko ro ro subh kiya ya din ko jun tun sham kiya

subh chaman mein us ko kahin taklif-e-hawa le aai thi

ruKH se gul ko mol liya qamat se sarw ghulam kiya

saad-e-simin donon us ke hath mein la kar chhoD diye

bhule us ke qaul-o-qasam par hae KHayal-e-KHam kiya

kaam hue hain sare zaea har saat ki samajat se

istighna ki chauguni un ne jun jun main ibram kiya

aise aahu-e-ram-KHurda ki wahshat khoni mushkil thi

sehr kiya eajaz kiya jin logon ne tujh ko ram kiya

'mir' ke din-o-mazhab ko ab puchhte kya ho un ne to

qashqa khincha dair mein baiTha kab ka tark islam kiya

(1050) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

UlTi Ho Gain Sab Tadbiren Kuchh Na Dawa Ne Kaam Kiya In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. UlTi Ho Gain Sab Tadbiren Kuchh Na Dawa Ne Kaam Kiya is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem UlTi Ho Gain Sab Tadbiren Kuchh Na Dawa Ne Kaam Kiya for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download UlTi Ho Gain Sab Tadbiren Kuchh Na Dawa Ne Kaam Kiya in PDF.