Wahshat Thi Hamein Bhi Wahi Ghar-bar Se Ab Tak

wahshat thi hamein bhi wahi ghar-bar se ab tak

sar mare hain apne dar o diwar se ab tak

marte hi suna un ko jinhen dil-lagi kuchh thi

achchha hua koi is aazar se ab tak

jab se lagi hain aankhen khuli rah take hain

soe nahin sath us ke kabhu pyar se ab tak

aaya tha kabhu yar so mamul hum us ke

bistar pe gire rahte hain bimar se ab tak

bad-ahdiyon mein waqt-e-wafat aan bhi pahuncha

wada na hua ek wafa yar se ab tak

hai qahr o ghazab dekh taraf kushte ke zalim

karta hai ishaarat bhi tu talwar se ab tak

kuchh ranj-e-dili 'mir' jawani mein khincha tha

zardi nahin jati mere ruKHsar se ab tak

(418) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahshat Thi Hamein Bhi Wahi Ghar-bar Se Ab Tak In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Wahshat Thi Hamein Bhi Wahi Ghar-bar Se Ab Tak is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Wahshat Thi Hamein Bhi Wahi Ghar-bar Se Ab Tak for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Wahshat Thi Hamein Bhi Wahi Ghar-bar Se Ab Tak in PDF.