Zaban Rakh Ghuncha San Apne Dahan Mein

zaban rakh ghuncha san apne dahan mein

bandhi muTThi chala ja is chaman mein

na khol ai yar mera gor mein munh

ki hasrat hai meri jaga kafan mein

rakha kar hath dil par aah karte

nahin rahta charagh aisi pawan mein

jale dil ki musibat apne sun kar

lagi hai aag sare tan badan mein

na tujh bin hosh mein hum aae saqi

musafir hi rahe aksar watan mein

KHirad-mandi hui zanjir warna

guzarti KHub thi diwana-pan mein

kahan ke sham-o-parwane gae mar

bahut aatash-bajaan the is chaman mein

kahan aajiz-suKHan qadir-suKHan hun

hamein hai shubh yaron ke suKHan mein

gudaz ishq mein ba bhi gaya 'mir'

yahi dhoka sa hai ab pairahan mein

(460) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zaban Rakh Ghuncha San Apne Dahan Mein In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Zaban Rakh Ghuncha San Apne Dahan Mein is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Zaban Rakh Ghuncha San Apne Dahan Mein for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Zaban Rakh Ghuncha San Apne Dahan Mein in PDF.