ZaKHm Jhele Dagh Bhi Khae Bahut

zaKHm jhele dagh bhi khae bahut

dil laga kar hum to pachhtae bahut

jab na tab jagah se tum jaya kiye

hum to apni or se aae bahut

dair se su-e-haram aaya na Tuk

hum mizaj apna idhar lae bahut

phul gul shams o qamar sare hi the

par hamein in mein tumhin bhae bahut

gar buka is shor se shab ko hai to

rowenge sone ko ham-sae bahut

wo jo nikla subh jaise aaftab

rashk se gul phul murjhae bahut

'mir' se puchha jo main aashiq ho tum

ho ke kuchh chupke se sharmae bahut

(923) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ZaKHm Jhele Dagh Bhi Khae Bahut In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. ZaKHm Jhele Dagh Bhi Khae Bahut is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem ZaKHm Jhele Dagh Bhi Khae Bahut for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download ZaKHm Jhele Dagh Bhi Khae Bahut in PDF.