KHud Apne Qatl Ka Ilzam Dho Raha Hun Abhi

KHud apne qatl ka ilzam Dho raha hun abhi

main apni lash pe sar rakh ke ro raha hun abhi

usi pe fasl khaDi hogi ek sadaon ki

main jis zamin pe KHamoshi bo raha hun abhi

sab apni apni fasilen haTa len raste se

main apni rah ki diwar ho raha hun abhi

kaho ki dasht abhi thoDa intizar kare

main apne paon nadi mein bhigo raha hun abhi

main tujh ko phenk bhi sakta tha zindagi lekin

kisi umid pe ye bojh Dho raha hun abhi

bahut si aankhen meri rah dekhti hongi

main ek KHwab hun tabir ho raha hun abhi

(420) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Apne Qatl Ka Ilzam Dho Raha Hun Abhi In English By Famous Poet Mirza Athar Zia. KHud Apne Qatl Ka Ilzam Dho Raha Hun Abhi is written by Mirza Athar Zia. Read famous Poem KHud Apne Qatl Ka Ilzam Dho Raha Hun Abhi for youth and Student by Mirza Athar Zia. Free Download KHud Apne Qatl Ka Ilzam Dho Raha Hun Abhi in PDF.