Hum To Hain Hasrat-e-didar Ke Mare Hue Log

hum to hain hasrat-e-didar ke mare hue log

yani ek nargis-e-bimar ke mare hue log

jal gae dhup mein jo un ka shumar ek taraf

kam nahin saya-e-diwar ke mare hue log

tu ne ai waqt palaT kar bhi kabhi dekha hai

kaise hain sab teri raftar ke mare hue log

dekhte rahte hain KHud apna tamasha din raat

hum hain KHud apne hi kirdar ke mare hue log

roz hi KHalq-e-KHuda marti hai ya dobara

zinda ho jate hain aKHbar ke mare hue log

teri dahliz pe iqrar ki ummid liye

phir khaDe hain tere inkar ke mare hue log

(509) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum To Hain Hasrat-e-didar Ke Mare Hue Log In English By Famous Poet Mirza Athar Zia. Hum To Hain Hasrat-e-didar Ke Mare Hue Log is written by Mirza Athar Zia. Read famous Poem Hum To Hain Hasrat-e-didar Ke Mare Hue Log for youth and Student by Mirza Athar Zia. Free Download Hum To Hain Hasrat-e-didar Ke Mare Hue Log in PDF.