Koi Dariya Bhi Rawan Hai Mujh Mein

koi dariya bhi rawan hai mujh mein

sirf sahra hi kahan hai mujh mein

kya pata jaane kahan aag lagi

har taraf sirf dhuan hai mujh mein

jashn hota hai wahan raat Dhale

wo jo ek KHali makan hai mujh mein

ajnabi ho gain galiyan meri

jaane ab kaun kahan hai mujh mein

ek din tha jo kahin Dub gaya

ek shab hai ki jawan hai mujh mein

tum jise DhunD rahe ho 'athar'

ab wo insan kahan hai mujh mein

(432) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Dariya Bhi Rawan Hai Mujh Mein In English By Famous Poet Mirza Athar Zia. Koi Dariya Bhi Rawan Hai Mujh Mein is written by Mirza Athar Zia. Read famous Poem Koi Dariya Bhi Rawan Hai Mujh Mein for youth and Student by Mirza Athar Zia. Free Download Koi Dariya Bhi Rawan Hai Mujh Mein in PDF.