Kya KHabar Jo Nazar Aata Hai Wo Manzar Hi Na Ho

kya KHabar jo nazar aata hai wo manzar hi na ho

ye samundar kahin sach-much mein samundar hi na ho

jis ki ummid pe sar phoD rahi hai duniya

kahin is aahani diwar mein wo dar hi na ho

jaan kar phul jise dil se lagae hue hain

ghaur se dekh len chhu kar use patthar hi na ho

dar-o-diwar se ye kaise nazar aate hain

jis ko virana samajh baiThe hain wo ghar hi na ho

is qadar hum ko Darana nahin achchha 'athar'

kya pata hum ko kisi chiz ka phir Dar hi na ho

(381) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Kya KHabar Jo Nazar Aata Hai Wo Manzar Hi Na Ho In English By Famous Poet Mirza Athar Zia. Kya KHabar Jo Nazar Aata Hai Wo Manzar Hi Na Ho is written by Mirza Athar Zia. Read famous Poem Kya KHabar Jo Nazar Aata Hai Wo Manzar Hi Na Ho for youth and Student by Mirza Athar Zia. Free Download Kya KHabar Jo Nazar Aata Hai Wo Manzar Hi Na Ho in PDF.