Tamam Galiyon Mein Matam Bapa Tha Jangal Ka

tamam galiyon mein matam bapa tha jangal ka

yahan zarur koi silsila tha jangal ka

likhi thin wahshaten sahra ki meri aankhon mein

kitab-e-dil mein waraq khul raha tha jangal ka

hamare shahron mein ab roz hota rahta hai

wo waqia jo kabhi waqia tha jangal ka

wo is taraf ki pahaDi pe miThe jharne the

pa darmiyan mein rasta ghana tha jangal ka

mujh ek shahr mein aisa bhi tha udas koi

hamesha mujh se pata puchhta tha jangal ka

kisi ke sath ne insan bana diya hai ise

wagarna dil ye kabhi bheDiya tha jangal ka

jahan pe KHatm thi insaniyat ki had 'athar'

wahan pe dekha to ek rasta tha jangal ka

(408) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamam Galiyon Mein Matam Bapa Tha Jangal Ka In English By Famous Poet Mirza Athar Zia. Tamam Galiyon Mein Matam Bapa Tha Jangal Ka is written by Mirza Athar Zia. Read famous Poem Tamam Galiyon Mein Matam Bapa Tha Jangal Ka for youth and Student by Mirza Athar Zia. Free Download Tamam Galiyon Mein Matam Bapa Tha Jangal Ka in PDF.