Barak-allah Main Tere Husn Ki Kya Baat Kahun

barak-allah main tere husn ki kya baat kahun

saj kahun dhaj kahun chhab taKHti kahun gat kahun

ruKH o zulf us ke shab-e-tar mein dekhe baham

hun achambhe mein ise din kahun ya raat kahun

ki qayamat tere qamat ne to gulshan upar

pankhuDi ek taraf phul kahun pat kahun

taq-e-abru ke nazare ke the KHwahan so mila

aur kya hajat ab ai qibla-e-hajat kahun

dekhne ko abhi dil taDpa ki tum aa pahunche

kashish-e-dil ki tumhaari ye karamat kahun

ain hijran mein bahaar-e-gul-o-baran aai

girya aashiq ka kahun ya use barsat kahun

'azfari' ne hain tere ishq mein jhele pyare

kya kya aafat baliyyat ki sadmat kahun

(575) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barak-allah Main Tere Husn Ki Kya Baat Kahun In English By Famous Poet Mirza Azfari. Barak-allah Main Tere Husn Ki Kya Baat Kahun is written by Mirza Azfari. Read famous Poem Barak-allah Main Tere Husn Ki Kya Baat Kahun for youth and Student by Mirza Azfari. Free Download Barak-allah Main Tere Husn Ki Kya Baat Kahun in PDF.