Aate Aate Tarf Mere MuD Ke Phir Kidhar Chale

aate aate tarf mere muD ke phir kidhar chale

jaan-sahab! bin tumhaare kha ke gham hum mar chale

sajde de naghisniyan karte hain tum sunte nahin

jo na karni thi samajat wo bhi kar aksar chale

aadmi se but kahae ab KHudai ka hai azm

Tuk karo insaf apni had se tum bahar chale

dekh lewenge guzare ke tain ab aur ja

dekha bhaari pathar us ko chum sar se dhar chale

aashiqon ne nam tera le kiya qalib tahi

marte marte bhi to tera hi ye sab dam bhar chale

bazm mein tum khul rahe the baiThe dekh hum ko ruk gae

gar yun hi raazi ho lo ji uTh hum apne ghar chale

kis ke aae kis se rang-raliyan kiya pyar aur chah

ishq ki badnami pyare rakh ke mujh upar chale

KHizr ko shabash uktaya na ab tak aur hum

zindagani ek dam bhar ki bhi kar dubhar chale

aah-o-afghan to hamara kar raha hai zor-shor

jun bagula ya ho aandhi ya koi sarsar chale

dekhen kis ki aah ka us par asar ho 'azfari'

hum to bhar maqdur, kar kitna hi shor-o-shar chale

(585) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aate Aate Tarf Mere MuD Ke Phir Kidhar Chale In English By Famous Poet Mirza Azfari. Aate Aate Tarf Mere MuD Ke Phir Kidhar Chale is written by Mirza Azfari. Read famous Poem Aate Aate Tarf Mere MuD Ke Phir Kidhar Chale for youth and Student by Mirza Azfari. Free Download Aate Aate Tarf Mere MuD Ke Phir Kidhar Chale in PDF.