Hain Jaane-bujhe Yar Ham, Hum Sath An-jaani Na Kar

hain jaane-bujhe yar ham, hum sath an-jaani na kar

dar se hamein durkar na jaani ye nadani na kar

ek dil tha jo tujh ko diya hai aur dil jo aur le

hum chahen tujh chhuT aur ko ye baat diwani na kar

arsh-e-ilahulalamin ja-e-adab hai khol jhaD

hai KHana-e-dil gharq par dekh ashk tughyani na kar

hain jhonpaDiyan ham-sae mein mat aag in ko lag uThe

nichli tu rah sine mein Tuk, Tuk aah jaulani na kar

hum ishq tere hath se kya kya na dekhin haalaten

dekh aab-dida KHun na ho KHun-e-jigar pani na kar

aansu ke hai dariya pe aa dil ka safina tar raha

ab 'azfari' mat aah bhar kashti ye tufani na kar

(560) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hain Jaane-bujhe Yar Ham, Hum Sath An-jaani Na Kar In English By Famous Poet Mirza Azfari. Hain Jaane-bujhe Yar Ham, Hum Sath An-jaani Na Kar is written by Mirza Azfari. Read famous Poem Hain Jaane-bujhe Yar Ham, Hum Sath An-jaani Na Kar for youth and Student by Mirza Azfari. Free Download Hain Jaane-bujhe Yar Ham, Hum Sath An-jaani Na Kar in PDF.