Samajh Ghar Yar Ka Main Shah-nashin-e-dil Ko Dhota Hun

samajh ghar yar ka main shah-nashin-e-dil ko dhota hun

kahen hain log diwane ki diwana hun rota hun

bujhae ashk ye KHun ke jo fawware uchhalte hain

mizha se yar ke le nashtar aankhon mein chubhota hun

madad ai KHizr-e-girya gharq kariyo naw-e-dil aaj hi

ye hai Dubwane wala main ise pahle Dubota hun

but-e-sangin dil ki dekh taswir aankhen pathrain

ThiThuk hun naqsh-e-qalin sa na rota hun na sota hun

main ku-e-maikashan-o-mahwashan ke muttasil pahuncha

KHabar-dar ai harifo ab hawas-o-hosh khota hun

mabaada mere gul-ru ka gul-e-ruKHsar murjhawe

phuwar ai 'azfari' de aansuon ki main bhigota hun

(535) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samajh Ghar Yar Ka Main Shah-nashin-e-dil Ko Dhota Hun In English By Famous Poet Mirza Azfari. Samajh Ghar Yar Ka Main Shah-nashin-e-dil Ko Dhota Hun is written by Mirza Azfari. Read famous Poem Samajh Ghar Yar Ka Main Shah-nashin-e-dil Ko Dhota Hun for youth and Student by Mirza Azfari. Free Download Samajh Ghar Yar Ka Main Shah-nashin-e-dil Ko Dhota Hun in PDF.