Shitabi Apne Diwane Ko Kar Band

shitabi apne diwane ko kar band

musalsal zulf se kar ya nazar-band

tera shaida na Thahra jaan sa ek dam

gaya le coat mein lohe ke kar band

jo tujh par aur ko tarjih de dekh

bas us andhe ki aankhen hain magar band

taDapta be-qarari aah-o-zari

huin ye haalaten kyunkar satar-band

hai shoala aag ka har aah ke sath

ye dil hai ya hai sine mein sharar band

piyare Dar KHuda se apni aankhen

hamari tarf se itni na kar band

tujhe KHurshid-ru, ji bhar ke dekhun

hui jati hai meri aankh par band

azizo misr-e-dil ki rah hai dur

rah-e-zulmat mein haiga ye dar band

jo chahe do jahan ka kaam lega

hai bandha jis ne himmat ka qamar-band

raho Tuk 'azfari' ab chashm khole

rahengi aankh phir sham-o-sahar band

(703) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shitabi Apne Diwane Ko Kar Band In English By Famous Poet Mirza Azfari. Shitabi Apne Diwane Ko Kar Band is written by Mirza Azfari. Read famous Poem Shitabi Apne Diwane Ko Kar Band for youth and Student by Mirza Azfari. Free Download Shitabi Apne Diwane Ko Kar Band in PDF.