Sine Ka Ab Tak Hai ZaKHm Aala Miyan

sine ka ab tak hai zaKHm aala miyan

hai ani mizhgan ki ya bhaala miyan

kis zamane ki ye dushman thi meri

is mohabbat ka ho munh kala miyan

ishq mein tere luTe sab durr-e-ashk

aisi war-KHarchi ne ghar ghaala miyan

jo bisat apni mein tha hosh-o-KHirad

jhoka jholi mein tere lala miyan

ishq ke zewar ko aansu mat kaho

motiyon ki hai ye gul-mala miyan

khol paT ghunghaT ka dikhlaya jamal

mere tale ka khula tala miyan

sarw-e-baala ko tere to dekh kar

ho gai duniya tah-o-baala miyan

neki meri aur badi apni ko jaan

sab badi ko apni to Dhaala miyan

Tala, baala 'azfari' ko de gae

kan ka apne dikha baala miyan

(545) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sine Ka Ab Tak Hai ZaKHm Aala Miyan In English By Famous Poet Mirza Azfari. Sine Ka Ab Tak Hai ZaKHm Aala Miyan is written by Mirza Azfari. Read famous Poem Sine Ka Ab Tak Hai ZaKHm Aala Miyan for youth and Student by Mirza Azfari. Free Download Sine Ka Ab Tak Hai ZaKHm Aala Miyan in PDF.