Soch Mein Tere Suna Raat Jo KhaTka-paTka

soch mein tere suna raat jo khaTka-paTka

sar ko takiye se uTha paTTi pe de de paTka

tu ne gar kanghi jo kakul ko pakaD kar jhaTka

dil paDa phirta hai sar marta bhula-bhaTka

laKHt-e-dil aa sar-e-mizhgan pe laTakte hain paDe

teri ulfat ne bhala sang dikhaya naT ka

jab na tab bose pe haTte ho ki dunga na kabhi

man kar ye na meri jaan phir aisi haT ka

kyun teri chaal laTak dekh ke dil laTke hain

kuchh to hum ko bhi bata kis se ye sikha laTka

naT-khaTi dekh teri main to achambhe mein raha

dil jhapaT hath se jhaT rag sunaya khaTka

ghar base bol bhi kuchh kya hai KHarabi Thani

kab talak hum se phirega yunhi phaTka phaTka

dil-e-gum-gashta ki har ek se main karta hun talash

chor jo tha wahi aankhon ko chura kar saTka

(636) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Soch Mein Tere Suna Raat Jo KhaTka-paTka In English By Famous Poet Mirza Azfari. Soch Mein Tere Suna Raat Jo KhaTka-paTka is written by Mirza Azfari. Read famous Poem Soch Mein Tere Suna Raat Jo KhaTka-paTka for youth and Student by Mirza Azfari. Free Download Soch Mein Tere Suna Raat Jo KhaTka-paTka in PDF.