Ajab Nashat Se Jallad Ke Chale Hain Hum Aage

ajab nashat se jallad ke chale hain hum aage

ki apne sae se sar panw se hai do qadam aage

qaza ne tha mujhe chaha KHarab-e-baada-e-ulfat

faqat KHarab likha bas na chal saka qalam aage

gham-e-zamana ne jhaDi nashat-e-ishq ki masti

wagarna hum bhi uThate the lazzat-e-alam aage

KHuda ke waste dad us junun-e-shauq ki dena

ki us ke dar pe pahunchte hain nama-bar se hum aage

ye umr bhar jo pareshaniyan uThai hain hum ne

tumhaare aaiyo ai turrah-ha-e-KHam-ba-KHam aage

dil o jigar mein pur-afshan jo ek mauja-e-KHun hai

hum apne zom mein samjhe hue the us ko dam aage

qasam janaze pe aane ki mere khate hain 'ghaalib'

hamesha khate the jo meri jaan ki qasam aage

(1217) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Nashat Se Jallad Ke Chale Hain Hum Aage In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Ajab Nashat Se Jallad Ke Chale Hain Hum Aage is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Ajab Nashat Se Jallad Ke Chale Hain Hum Aage for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Ajab Nashat Se Jallad Ke Chale Hain Hum Aage in PDF.