Bagh Pa Kar KHafaqani Ye Daraata Hai Mujhe

bagh pa kar KHafaqani ye Daraata hai mujhe

saya-e-shaKH-e-gul afi nazar aata hai mujhe

jauhar-e-tegh ba-sar-chashma-e-digar malum

hun main wo sabza ki zahrab ugata hai mujhe

muddaa mahw-e-tamasha-e-shikast-e-dil hai

aaina-KHana mein koi liye jata hai mujhe

nala sarmaya-e-yak-alam o aalam kaf-e-KHak

aasman baiza-e-quamri nazar aata hai mujhe

zindagi mein to wo mahfil se uTha dete the

dekhun ab mar gae par kaun uThata hai mujhe

bagh tujh bin gul-e-nargis se Daraata hai mujhe

chahun gar sair-e-chaman aankh dikhata hai mujhe

shor-e-timsal hai kis rashk-e-chaman ka ya rab

aaina baiza-e-bulbul nazar aata hai mujhe

hairat-e-aina anjam-e-junun hun jyun shama

kis qadar dagh-e-jigar shola uThata hai mujhe

main hun aur hairat-e-jawed magar zauq-e-KHayal

ba-fusun-e-nigah-e-naz satata hai mujhe

hairat-e-fikr-e-suKHan saz-e-salamat hai 'asad'

dil pas-e-zanu-e-aina biThata hai mujhe

(1058) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bagh Pa Kar KHafaqani Ye Daraata Hai Mujhe In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Bagh Pa Kar KHafaqani Ye Daraata Hai Mujhe is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Bagh Pa Kar KHafaqani Ye Daraata Hai Mujhe for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Bagh Pa Kar KHafaqani Ye Daraata Hai Mujhe in PDF.