Bahut Sahi Gham-e-giti Sharab Kam Kya Hai
bahut sahi gham-e-giti sharab kam kya hai
ghulam-e-saqi-e-kausar hun mujh ko gham kya hai
tumhaari tarz-o-rawish jaante hain hum kya hai
raqib par hai agar lutf to sitam kya hai
suKHan mein KHama-e-ghaalib ki aatish-afshani
yaqin hai hum ko bhi lekin ab us mein dam kya hai
kaTe to shab kahen kaTe to sanp kahlawe
koi batao ki wo zulf-e-KHam-ba-KHam kya hai
likha kare koi ahkaam-e-tala-e-maulud
kise KHabar hai ki wan jumbish-e-qalam kya hai
na hashr-o-nashr ka qael na kesh o millat ka
KHuda ke waste aise ki phir qasam kya hai
wo dad-o-did garan-maya shart hai hamdam
wagarna mehr-e-sulaiman-o-jam-e-jam kya hai
(1045) Peoples Rate This