Barshikal-e-girya-e-ashiq Hai Dekha Chahiye

barshikal-e-girya-e-ashiq hai dekha chahiye

khil gai manind-e-gul sau ja se diwar-e-chaman

ulfat-e-gul se ghalat hai dawa-e-warastagi

sarw hai ba-wasf-e-azadi giraftar-e-chaman

saf hai az bas-ki aks-e-gul se gulzar-e-chaman

jaanashin-e-jauhar-e-aina hai KHar-e-chaman

hai nazakat bas ki fasl-e-gul mein meamar-e-chaman

qalib-e-gul mein Dhali hai KHisht-e-diwar-e-chaman

teri aaraish ka istiqbaal karti hai bahaar

jauhar-e-aina hai yan naqsh-e-ehzar-e-chaman

bas ki pai yar ki rangin-adai se shikast

hai kulah-e-naz-e-gul bar taq-e-diwar-e-chaman

waqt hai gar bulbul-e-miskin zuleKHai kare

yusuf-e-gul jalwa-farma hai ba-bazar-e-chaman

wahshat-afza girya-ha mauquf-e-fasl-e-gul 'asad'

chashm-e-dariya-rez hai mizab-e-sarkar-e-chaman

(1348) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barshikal-e-girya-e-ashiq Hai Dekha Chahiye In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Barshikal-e-girya-e-ashiq Hai Dekha Chahiye is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Barshikal-e-girya-e-ashiq Hai Dekha Chahiye for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Barshikal-e-girya-e-ashiq Hai Dekha Chahiye in PDF.