Bas-ki Dushwar Hai Har Kaam Ka Aasan Hona

bas-ki dushwar hai har kaam ka aasan hona

aadmi ko bhi mayassar nahin insan hona

girya chahe hai KHarabi mere kashane ki

dar o diwar se Tapke hai bayaban hona

wa-e-diwangi-e-shauq ki har dam mujh ko

aap jaana udhar aur aap hi hairan hona

jalwa az-bas-ki taqaza-e-nigah karta hai

jauhar-e-aina bhi chahe hai mizhgan hona

ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamanna mat puchh

id-e-nazzara hai shamshir ka uryan hona

le gae KHak mein hum dagh-e-tamanna-e-nashat

tu ho aur aap ba-sad-rang-e-gulistan hona

ishrat-e-para-e-dil zaKHm-e-tamanna khana

lazzat-e-rish-e-jigar gharq-e-namak-dan hona

ki mere qatl ke baad us ne jafa se tauba

hae us zud-pashiman ka pasheman hona

haif us chaar girah kapDe ki qismat 'ghaalib'

jis ki qismat mein ho aashiq ka gareban hona

(1900) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas-ki Dushwar Hai Har Kaam Ka Aasan Hona In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Bas-ki Dushwar Hai Har Kaam Ka Aasan Hona is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Bas-ki Dushwar Hai Har Kaam Ka Aasan Hona for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Bas-ki Dushwar Hai Har Kaam Ka Aasan Hona in PDF.