Bazicha-e-atfal Hai Duniya Mere Aage

bazicha-e-atfal hai duniya mere aage

hota hai shab-o-roz tamasha mere aage

ek khel hai aurang-e-suleman mere nazdik

ek baat hai ejaz-e-masiha mere aage

juz nam nahin surat-e-alam mujhe manzur

juz wahm nahin hasti-e-ashiya mere aage

hota hai nihan gard mein sahra mere hote

ghista hai jabin KHak pe dariya mere aage

mat puchh ki kya haal hai mera tere pichhe

tu dekh ki kya rang hai tera mere aage

sach kahte ho KHud-bin o KHud-ara hun na kyun hun

baiTha hai but-e-aina-sima mere aage

phir dekhiye andaz-e-gul-afshani-e-guftar

rakh de koi paimana-e-sahba mere aage

nafrat ka guman guzre hai main rashk se guzra

kyunkar kahun lo nam na un ka mere aage

iman mujhe roke hai jo khinche hai mujhe kufr

kaba mere pichhe hai kalisa mere aage

aashiq hun pa mashuq-farebi hai mera kaam

majnun ko bura kahti hai laila mere aage

KHush hote hain par wasl mein yun mar nahin jate

aai shab-e-hijran ki tamanna mere aage

hai maujzan ek qulzum-e-KHun kash yahi ho

aata hai abhi dekhiye kya kya mere aage

go hath ko jumbish nahin aankhon mein to dam hai

rahne do abhi saghar-o-mina mere aage

ham-pesha o ham-mashrab o hamraaz hai mera

'ghaalib' ko bura kyun kaho achchha mere aage

(1535) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bazicha-e-atfal Hai Duniya Mere Aage In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Bazicha-e-atfal Hai Duniya Mere Aage is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Bazicha-e-atfal Hai Duniya Mere Aage for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Bazicha-e-atfal Hai Duniya Mere Aage in PDF.