Bazm-e-shahanshah Mein Ashaar Ka Daftar Khula

bazm-e-shahanshah mein ashaar ka daftar khula

rakhiyo ya rab ye dar-e-ganjina-e-gauhar khula

shab hui phir anjuman-e-raKHshanda ka manzar khula

is takalluf se ki goya but-kade ka dar khula

garche hun diwana par kyun dost ka khaun fareb

aastin mein dashna pinhan hath mein nashtar khula

go na samjhun us ki baaten go na paun us ka bhed

par ye kya kam hai ki mujh se wo pari-paikar khula

hai KHayal-e-husn mein husn-e-amal ka sa KHayal

KHuld ka ek dar hai meri gor ke andar khula

munh na khulne par hai wo aalam ki dekha hi nahin

zulf se baDh kar naqab us shoKH ke munh par khula

dar pe rahne ko kaha aur keh ke kaisa phir gaya

jitne arse mein mera lipTa hua bistar khula

kyun andheri hai shab-e-gham hai balaon ka nuzul

aaj udhar hi ko rahega dida-e-aKHtar khula

kya rahun ghurbat mein KHush jab ho hawadis ka ye haal

nama lata hai watan se nama-bar aksar khula

us ki ummat mein hun main mere rahen kyun kaam band

waste jis shah ke 'ghaalib' gumbad-e-be-dar khula

(2355) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bazm-e-shahanshah Mein Ashaar Ka Daftar Khula In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Bazm-e-shahanshah Mein Ashaar Ka Daftar Khula is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Bazm-e-shahanshah Mein Ashaar Ka Daftar Khula for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Bazm-e-shahanshah Mein Ashaar Ka Daftar Khula in PDF.