Be-etidaliyon Se Subuk Sab Mein Hum Hue

be-e'tidaliyon se subuk sab mein hum hue

jitne ziyaada ho gae utne hi kam hue

pinhan tha dam saKHt qarib aashiyan ke

uDne na pae the ki giraftar hum hue

hasti hamari apni fana par dalil hai

yan tak miTe ki aap hum apni qasam hue

saKHti kashan-e-ishq ki puchhe hai kya KHabar

wo log rafta rafta sarapa alam hue

teri wafa se kya ho talafi ki dahr mein

tere siwa bhi hum pe bahut se sitam hue

likhte rahe junun ki hikayat-e-KHun-chakan

har-chand is mein hath hamare qalam hue

allah re teri tundi-e-KHu jis ke bim se

ajza-e-nala dil mein mere rizq-e-ham hue

ahl-e-hawas ki fath hai tark-e-nabard-e-ishq

jo panw uTh gae wahi un ke alam hue

nale adam mein chand hamare supurd the

jo wan na khinch sake so wo yan aa ke dam hue

chhoDi 'asad' na hum ne gadai mein dil-lagi

sail hue to aashiq-e-ahl-e-karam hue

(1171) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-etidaliyon Se Subuk Sab Mein Hum Hue In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Be-etidaliyon Se Subuk Sab Mein Hum Hue is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Be-etidaliyon Se Subuk Sab Mein Hum Hue for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Be-etidaliyon Se Subuk Sab Mein Hum Hue in PDF.