Dar-KHur-e-qahr-o-ghazab Jab Koi Hum Sa Na Hua
dar-KHur-e-qahr-o-ghazab jab koi hum sa na hua
phir ghalat kya hai ki hum sa koi paida na hua
bandagi mein bhi wo aazada o KHud-bin hain ki hum
ulTe phir aae dar-e-kaba agar wa na hua
sab ko maqbul hai dawa teri yaktai ka
ru-ba-ru koi but-e-aina-sima na hua
kam nahin nazish-e-hamnami-e-chashm-e-KHuban
tera bimar bura kya hai gar achchha na hua
sine ka dagh hai wo nala ki lab tak na gaya
KHak ka rizq hai wo qatra ki dariya na hua
nam ka mere hai jo dukh ki kisi ko na mila
kaam mein mere hai jo fitna ki barpa na hua
har-bun-e-mu se dam-e-zikr na Tapke KHun nab
hamza ka qissa hua ishq ka charcha na hua
qatra mein dajla dikhai na de aur juzw mein kul
khel laDkon ka hua dida-e-bina na hua
thi KHabar garm ki 'ghaalib' ke uDenge purze
dekhne hum bhi gae the pa tamasha na hua
(1431) Peoples Rate This