Dil Hi To Hai Na Sang-o-KHisht Dard Se Bhar Na Aae Kyun

dil hi to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aae kyun

roenge hum hazar bar koi hamein satae kyun

dair nahin haram nahin dar nahin aastan nahin

baiThe hain rahguzar pe hum ghair hamein uThae kyun

jab wo jamal-e-dil-faroz surat-e-mehr-e-nim-roz

aap hi ho nazzara-soz parde mein munh chhupae kyun

dashna-e-ghamza jaan-sitan nawak-e-naz be-panah

tera hi aks-e-ruKH sahi samne tere aae kyun

qaid-e-hayat o band-e-gham asl mein donon ek hain

maut se pahle aadmi gham se najat pae kyun

husn aur us pe husn-e-zan rah gai bul-hawas ki sharm

apne pe e'timad hai ghair ko aazmae kyun

wan wo ghurur-e-izz-o-naz yan ye hijab-e-pas-e-waza

rah mein hum milen kahan bazm mein wo bulae kyun

han wo nahin KHuda-parast jao wo bewafa sahi

jis ko ho din o dil aziz us ki gali mein jae kyun

'ghaalib'-e-KHasta ke baghair kaun se kaam band hain

roiye zar zar kya kijiye hae hae kyun

(1589) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Hi To Hai Na Sang-o-KHisht Dard Se Bhar Na Aae Kyun In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Dil Hi To Hai Na Sang-o-KHisht Dard Se Bhar Na Aae Kyun is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Dil Hi To Hai Na Sang-o-KHisht Dard Se Bhar Na Aae Kyun for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Dil Hi To Hai Na Sang-o-KHisht Dard Se Bhar Na Aae Kyun in PDF.