Dil-e-nadan Tujhe Hua Kya Hai

dil-e-nadan tujhe hua kya hai

aaKHir is dard ki dawa kya hai

hum hain mushtaq aur wo be-zar

ya ilahi ye majra kya hai

main bhi munh mein zaban rakhta hun

kash puchho ki muddaa kya hai

jab ki tujh bin nahin koi maujud

phir ye hangama ai KHuda kya hai

ye pari-chehra log kaise hain

ghamza o ishwa o ada kya hai

shikan-e-zulf-e-ambarin kyun hai

nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai

sabza o gul kahan se aae hain

abr kya chiz hai hawa kya hai

hum ko un se wafa ki hai ummid

jo nahin jaante wafa kya hai

han bhala kar tera bhala hoga

aur darwesh ki sada kya hai

jaan tum par nisar karta hun

main nahin jaanta dua kya hai

main ne mana ki kuchh nahin 'ghaalib'

muft hath aae to bura kya hai

(1365) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-nadan Tujhe Hua Kya Hai In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Dil-e-nadan Tujhe Hua Kya Hai is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Dil-e-nadan Tujhe Hua Kya Hai for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Dil-e-nadan Tujhe Hua Kya Hai in PDF.