Gai Wo Baat Ki Ho Guftugu To Kyunkar Ho
gai wo baat ki ho guftugu to kyunkar ho
kahe se kuchh na hua phir kaho to kyunkar ho
hamare zehn mein is fikr ka hai nam visal
ki gar na ho to kahan jaen ho to kyunkar ho
adab hai aur yahi kashmakash to kya kije
haya hai aur yahi gomago to kyunkar ho
tumhin kaho ki guzara sanam-paraston ka
buton ki ho agar aisi hi KHu to kyunkar ho
ulajhte ho tum agar dekhte ho aaina
jo tum se shahr mein hon ek do to kyunkar ho
jise nasib ho roz-e-siyah mera sa
wo shaKHs din na kahe raat ko to kyunkar ho
hamein phir un se ummid aur unhen hamari qadr
hamari baat hi puchhen na wo to kyunkar ho
ghalat na tha hamein KHat par guman tasalli ka
na mane dida-e-didar jo to kyunkar ho
batao us mizha ko dekh kar ki mujh ko qarar
wo nish ho rag-e-jaan mein faro to kyunkar ho
mujhe junun nahin 'ghaalib' wale ba-qaul-e-huzur
firaq-e-yar mein taskin ho to kyunkar ho
(1440) Peoples Rate This