Gar KHamushi Se Faeda IKHfa-e-haal Hai

gar KHamushi se faeda iKHfa-e-haal hai

KHush hun ki meri baat samajhni muhaal hai

kis ko sunaun hasrat-e-izhaar ka gila

dil fard-e-jama-o-KHarch zaban-ha-e-lal hai

kis parde mein hai aaina-pardaz ai KHuda

rahmat ki uzr-KHwah-e-lab-e-be-sawal hai

hai hai KHuda-na-KHwasta wo aur dushmani

ai shauq-e-munfail ye tujhe kya KHayal hai

mushkin libas-e-kaba ali ke qadam se jaan

naf-e-zamin hai na ki naf-e-ghazal hai

wahshat pe meri arsa-e-afaq tang tha

dariya zamin ko araq-e-infial hai

hasti ke mat fareb mein aa jaiyo 'asad'

aalam tamam halqa-e-dam-e-KHayal hai

pahlu-tahi na kar gham-o-andoh se 'asad'

dil waqf-e-dard kar ki faqiron ka mal hai

(1832) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gar KHamushi Se Faeda IKHfa-e-haal Hai In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Gar KHamushi Se Faeda IKHfa-e-haal Hai is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Gar KHamushi Se Faeda IKHfa-e-haal Hai for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Gar KHamushi Se Faeda IKHfa-e-haal Hai in PDF.