Gar Na Andoh-e-shab-e-furqat Bayan Ho Jaega

gar na andoh-e-shab-e-furqat bayan ho jaega

be-takalluf dagh-e-mah mohr-e-dahan ho jaega

zohra gar aisa hi sham-e-hijr mein hota hai aab

partaw-e-mahtab sail-e-KHanuman ho jaega

le to lun sote mein us ke panw ka bosa magar

aisi baaton se wo kafir bad-guman ho jaega

dil ko hum sarf-e-wafa samjhe the kya malum tha

yani ye pahle hi nazr-e-imtihan ho jaega

sab ke dil mein hai jagah teri jo tu raazi hua

mujh pe goya ek zamana mehrban ho jaega

gar nigah-e-garm farmati rahi talim-e-zabt

shoala KHas mein jaise KHun rag mein nihan ho jaega

bagh mein mujh ko na le ja warna mere haal par

har gul-e-tar ek chashm-e-KHun-fishan ho jaega

wae! gar mera tera insaf mahshar mein na ho

ab talak to ye tawaqqoa hai ki wan ho jaega

faeda kya soch aaKHir tu bhi dana hai 'asad'

dosti nadan ki hai ji ka ziyan ho jaega

(1099) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gar Na Andoh-e-shab-e-furqat Bayan Ho Jaega In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Gar Na Andoh-e-shab-e-furqat Bayan Ho Jaega is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Gar Na Andoh-e-shab-e-furqat Bayan Ho Jaega for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Gar Na Andoh-e-shab-e-furqat Bayan Ho Jaega in PDF.