Gar Tujhko Hai Yaqin-e-ijabat Dua Na Mang

gar tujh ko hai yaqin-e-ijabat dua na mang

yani baghair-e-yak-dil-e-be-muddaa na mang

aata hai dagh-e-hasrat-e-dil ka shumar yaad

mujh se mere gunah ka hisab ai KHuda na mang

ai aarzu shahid-e-wafa KHun-baha na mang

juz bahr-e-dast-o-bazu-e-qatil dua na mang

barham hai bazm-e-ghuncha ba-yak-junbish-e-nashat

kashana bas-ki tang hai ghafil hawa na mang

main dur gard-e-arz-e-rusum-e-niyaz hun

dushman samajh wale nigah-e-ashna na mang

yak-baKHt auj nazr-e-subuk-bari-e-'asad'

sar par wabaal-e-saya-e-baal-e-huma na mang

(1360) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gar Tujhko Hai Yaqin-e-ijabat Dua Na Mang In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Gar Tujhko Hai Yaqin-e-ijabat Dua Na Mang is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Gar Tujhko Hai Yaqin-e-ijabat Dua Na Mang for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Gar Tujhko Hai Yaqin-e-ijabat Dua Na Mang in PDF.