Garm-e-fariyaad Rakha Shakl-e-nihaali Ne Mujhe

garm-e-fariyaad rakha shakl-e-nihaali ne mujhe

tab aman hijr mein di bard-e-layali ne mujhe

nisyah-o-naqd-e-do-alam ki haqiqat malum

le liya mujh se meri himmat-e-ali ne mujhe

kasrat-arai-e-wahdat hai parastari-e-wahm

kar diya kafir in asnam-e-KHayali ne mujhe

hawas-e-gul ke tasawwur mein bhi khaTka na raha

ajab aaram diya be-par-o-baali ne mujhe

zindagi mein bhi raha zauq-e-fana ka mara

nashsha baKHsha ghazab us saghar-e-KHali ne mujhe

bas-ki thi fasl-e-KHizan-e-chamanistan-e-suKHan

rang-e-shohrat na diya taza-KHayali ne mujhe

jalwa-e-KHur se fana hoti hai shabnam 'ghaalib'

kho diya satwat-e-asma-e-jalali ne mujhe

(876) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Garm-e-fariyaad Rakha Shakl-e-nihaali Ne Mujhe In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Garm-e-fariyaad Rakha Shakl-e-nihaali Ne Mujhe is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Garm-e-fariyaad Rakha Shakl-e-nihaali Ne Mujhe for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Garm-e-fariyaad Rakha Shakl-e-nihaali Ne Mujhe in PDF.