Ghafil Ba-wahm-e-naz KHud-ara Hai Warna Yan

ghafil ba-wahm-e-naz KHud-ara hai warna yan

be-shana-e-saba nahin turra gayah ka

bazm-e-qadah se aish-e-tamanna na rakh ki rang

said-e-ze-dam-e-jasta hai us dam-gah ka

rahmat agar qubul kare kya baid hai

sharmindagi se uzr na karna gunah ka

maqtal ko kis nashat se jata hun main ki hai

pur-gul KHayal-e-zaKHm se daman nigah ka

jaan dar-hawa-e-yak-nigah-e-garm hai 'asad'

parwana hai wakil tere dad-KHwah ka

uzlat-guzin-e-bazm hain wamandagan-e-did

mina-e-mai hai aabla pa-e-nigah ka

har gam aable se hai dil dar-tah-e-qadam

kya bim ahl-e-dard ko saKHti-e-rah ka

taus-e-dar-rikab hai har zarra aah ka

ya-rab nafas ghubar hai kis jalwa-gah ka

jeb-e-niyaz-e-ishq nishan-dar-e-naz hai

aaina hun shikastan-e-tarf-e-kulah ka

(902) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghafil Ba-wahm-e-naz KHud-ara Hai Warna Yan In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Ghafil Ba-wahm-e-naz KHud-ara Hai Warna Yan is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Ghafil Ba-wahm-e-naz KHud-ara Hai Warna Yan for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Ghafil Ba-wahm-e-naz KHud-ara Hai Warna Yan in PDF.