Ghuncha-e-na-shagufta Ko Dur Se Mat Dikha Ki Yun

ghuncha-e-na-shagufta ko dur se mat dikha ki yun

bose ko puchhta hun main munh se mujhe bata ki yun

pursish-e-tarz-e-dilbari kijiye kya ki bin kahe

us ke har ek ishaare se nikle hai ye ada ki yun

raat ke waqt mai piye sath raqib ko liye

aae wo yan KHuda kare par na kare KHuda ki yun

ghair se raat kya bani ye jo kaha to dekhiye

samne aan baiThna aur ye dekhna ki yun

bazm mein us ke ru-ba-ru kyun na KHamosh baiThiye

us ki to KHamushi mein bhi hai yahi muddaa ki yun

main ne kaha ki bazm-e-naz chahiye ghair se tihi

sun ke sitam-zarif ne mujh ko uTha diya ki yun

mujh se kaha jo yar ne jate hain hosh kis tarah

dekh ke meri be-KHudi chalne lagi hawa ki yun

kab mujhe ku-e-yar mein rahne ki waza yaad thi

aaina-dar ban gai hairat-e-naqsh-e-pa ki yun

gar tere dil mein ho KHayal wasl mein shauq ka zawal

mauj muhit-e-ab mein mare hai dast-o-pa ki yun

jo ye kahe ki reKHta kyunke ho rashk-e-farsi

gufta-e-'ghaalib' ek bar paDh ke use suna ki yun

(1049) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghuncha-e-na-shagufta Ko Dur Se Mat Dikha Ki Yun In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Ghuncha-e-na-shagufta Ko Dur Se Mat Dikha Ki Yun is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Ghuncha-e-na-shagufta Ko Dur Se Mat Dikha Ki Yun for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Ghuncha-e-na-shagufta Ko Dur Se Mat Dikha Ki Yun in PDF.