Hai Sabza-zar Har Dar-o-diwar-e-gham-kada

hai sabza-zar har dar-o-diwar-e-gham-kada

jis ki bahaar ye ho phir us ki KHizan na puchh

na-chaar bekasi ki bhi hasrat uThaiye

dushwari-e-rah o sitam-e-ham-rahan na puchh

juz dil suragh-e-dard ba-dil-KHuftagan na puchh

aaina arz kar KHat-o-KHal-e-bayan na puchh

hindostan saya-e-gul pa-e-taKHt tha

jah-o-jalal-e-ahd-e-visal-e-butan na puchh

ghaflat-mata-e-kaffa-e-mizan-e-adl hun

ya rab hisab-e-saKHti-e-KHwab-e-giran na puchh

har dagh-e-taza yak-dil-e-dagh-intizar hai

arz-e-faza-e-sina-e-dard-imtihan na puchh

kahta tha kal wo mahram-e-raaz apne se ki aah

dard-e-judai-e-'asad'-ullah-KHan na puchh

parwaz-e-yak-tap-e-gham-e-tasKHir-e-nala hai

garmi-e-nabz-e-nabz-e-KHar-o-KHas-e-ashiyan na puchh

tu mashq-e-baz kar dil-e-parwana hai bahaar

betabi-e-tajalli-e-atish-ba-jaan na puchh

(1256) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Sabza-zar Har Dar-o-diwar-e-gham-kada In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Hai Sabza-zar Har Dar-o-diwar-e-gham-kada is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Hai Sabza-zar Har Dar-o-diwar-e-gham-kada for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Hai Sabza-zar Har Dar-o-diwar-e-gham-kada in PDF.