Hai Kis Qadar Halak-e-fareb-e-wafa-e-gul

hai kis qadar halak-e-fareb-e-wafa-e-gul

bulbul ke karobar pe hain KHanda-ha-e-gul

aazadi-e-nasim mubarak ki har taraf

TuTe paDe hain halqa-e-dam-e-hawa-e-gul

jo tha so mauj-e-rang ke dhoke mein mar gaya

ai wae nala-e-lab-e-KHunin-nawa-e-gul

KHush-haal us harif-e-siyah-mast ka ki jo

rakhta ho misl-e-saya-e-gul sar-ba-pa-e-gul

ijad karti hai use tere liye bahaar

mera raqib hai nafas-e-itr-sa-e-gul

sharminda rakhte hain mujhe baad-e-bahaar se

mina-e-be-sharab o dil-e-be-hawa-e-gul

satwat se tere jalwa-e-husn-e-ghuyur ki

KHun hai meri nigah mein rang-e-ada-e-gul

tere hi jalwe ka hai ye dhoka ki aaj tak

be-iKHtiyar dauDe hai gul dar-qafa-e-gul

'ghaalib' mujhe hai us se ham-aghoshi aarzu

jis ka KHayal hai gul-e-jeb-e-qaba-e-gul

diwanagan ka chaara farogh-e-bahaar hai

hai shaKH-e-gul mein panja-e-KHuban bajae gul

mizhgan talak rasai-e-laKHt-e-jigar kahan

ai wae gar nigah na ho aashna-e-gul

(655) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Kis Qadar Halak-e-fareb-e-wafa-e-gul In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Hai Kis Qadar Halak-e-fareb-e-wafa-e-gul is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Hai Kis Qadar Halak-e-fareb-e-wafa-e-gul for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Hai Kis Qadar Halak-e-fareb-e-wafa-e-gul in PDF.