Hai Bazm-e-butan Mein SuKHan Aazurda-labon Se

hai bazm-e-butan mein suKHan aazurda-labon se

tang aae hain hum aise KHushamad-talabon se

hai daur-e-qadah wajh-e-pareshani-e-sahba

yak-bar laga do KHum-e-mai mere labon se

rindan-e-dar-e-mai-kada gustaKH hain zahid

zinhaar na hona taraf in be-adabon se

bedad-e-wafa dekh, ki jati rahi aaKHir

har-chand meri jaan ko tha rabt labon se

kya puchhe hai bar-KHud ghalati-ha-e-azizan

KHwari ko bhi ek aar hai aaali-nasabon se

go tum ko raza-jui-e-aghyar hai lekin

jati hai mulaqat kab aise sababon se

mat puchh 'asad' wada-e-kam-fursati-e-zist

do din bhi jo kaTe tu qayamat tabon se

(1167) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Bazm-e-butan Mein SuKHan Aazurda-labon Se In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Hai Bazm-e-butan Mein SuKHan Aazurda-labon Se is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Hai Bazm-e-butan Mein SuKHan Aazurda-labon Se for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Hai Bazm-e-butan Mein SuKHan Aazurda-labon Se in PDF.