Hai Bas-ki Har Ek Un Ke Ishaare Mein Nishan Aur

hai bas-ki har ek un ke ishaare mein nishan aur

karte hain mohabbat to guzarta hai guman aur

ya-rab wo na samjhe hain na samjhenge meri baat

de aur dil un ko jo na de mujh ko zaban aur

abru se hai kya us nigah-e-naz ko paiwand

hai tir muqarrar magar is ki hai kaman aur

tum shahr mein ho to hamein kya gham jab uThenge

le aaenge bazar se ja kar dil o jaan aur

har chand subuk-dast hue but-shikani mein

hum hain to abhi rah mein hai sang-e-giran aur

hai KHun-e-jigar josh mein dil khol ke rota

hote jo kai dida-e-KHun-naba-fishan aur

marta hun is aawaz pe har chand sar uD jae

jallad ko lekin wo kahe jaen ki han aur

logon ko hai KHurshid-e-jahan-tab ka dhoka

har roz dikhata hun main ek dagh-e-nihan aur

leta na agar dil tumhein deta koi dam chain

karta jo na marta koi din aah-o-fughan aur

pate nahin jab rah to chaDh jate hain nale

rukti hai meri taba to hoti hai rawan aur

hain aur bhi duniya mein suKHan-war bahut achchhe

kahte hain ki 'ghaalib' ka hai andaz-e-bayan aur

(6620) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Bas-ki Har Ek Un Ke Ishaare Mein Nishan Aur In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Hai Bas-ki Har Ek Un Ke Ishaare Mein Nishan Aur is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Hai Bas-ki Har Ek Un Ke Ishaare Mein Nishan Aur for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Hai Bas-ki Har Ek Un Ke Ishaare Mein Nishan Aur in PDF.